MAHABHARAT



Kanha tu ye run rok na saka,
manav ko manvta se jor na saka
kaisa chira ye mahabharat ab ki bar,
har ghar bn gya kurushetra ka dwar,

kaun hai pandav, kaun hai kaurav ?
smjh ab nahi aata is baar
chin jati hai teri sakhi ki maryada har baar,
kyun reh jate hai maun har baar yeh smajh,

kab thamoge tum rath is mahabharat me,
kab le jaoge manvta ko manav ke pass,
kise bnaoge tum arjun is baar,
jo bhed sake buraiyon ko jo ab ki baar,
kise bnaoge tum bhim tum is baar
jo dho sake teri sakhi ke wo baal

hai lagi hai manvta rupi sakhi is baar daav par,
kaise bchoge tum mohan tum sakhi ko is baar,
der na ho jaye shyam ab ki baar,
warna chirega mahabharat aisa is baar
tabah ho jayegi teri dhara is baar
kanha rok le tu mahabhart ab ki baar
warna aa jayegi pralay is baar

 

Comments

Popular posts from this blog

RAGGING KI KHANI

You made me

Chemical hearts