Posts

Showing posts from October, 2019

MAHABHARAT

Image
Kanha tu ye run rok na saka, manav ko manvta se jor na saka kaisa chira ye mahabharat ab ki bar, har ghar bn gya kurushetra ka dwar, kaun hai pandav, kaun hai kaurav ? smjh ab nahi aata is baar chin jati hai teri sakhi ki maryada har baar, kyun reh jate hai maun har baar yeh smajh, kab thamoge tum rath is mahabharat me, kab le jaoge manvta ko manav ke pass, kise bnaoge tum arjun is baar, jo bhed sake buraiyon ko jo ab ki baar, kise bnaoge tum bhim tum is baar jo dho sake teri sakhi ke wo baal hai lagi hai manvta rupi sakhi is baar daav par, kaise bchoge tum mohan tum sakhi ko is baar, der na ho jaye shyam ab ki baar, warna chirega mahabharat aisa is baar tabah ho jayegi teri dhara is baar kanha rok le tu mahabhart ab ki baar warna aa jayegi pralay is baar