Mahabhharat
Krishna ye tera kaisa gyan hai,
lut ti har pher draupdi ki garima hai,
har ghar se behti rakt ki dhara,
kyunki koi vrisha hai to koi balwaan hai.
manav ke behte nahi aasun,
kyunki wo ban chuka pashan hai,
krishna ye tera kaisa gyan hai,
jahan lut ta har ghar ka maan hai.
Kho gayi manvta manav ke man se,
jag uthi danvta har ke tan se,
krishna ye tera kaisa gyan hai,
jahan lut ta manav ka swabhiman hai.
faile ashanti har ghar me,
chira mahabharat har ke man me,
krishna ye tera kaisa gyan hai,
jahan lut geeta ka abhiman hai.
Comments