Aaya Fir Se Jeene ko

Aaya un galiyon me vapis,
Fir se wo din zeene ko,
larne ko jhagarne ko,
fir se mohabbat karne ko,
khojun un doro ko jo juri thi mere bhoron ko,
zaare ki wo chaye ki chuski,
garmi ki wo thele ki kulfi,
dil aaj hai fir se wo din jeene ko.

khojun fir se un galiyon ki maujon ko,
khojun fir se jeet ke sankhnadon ko,
khojun galiyon ke chandan ki chandaniyon ko,
khojun fir se maa ki roti ko,
aur baba ki daant ko,
kyunki fir hai aaj arman aur kuch jeene ko

jee chuke bahut un galiyon me,
jahan khusiyon ka koi mole nahi, zasbato ka ko tol nahi.
jahan aansun milti hai khlon me aur mohabbat ke daam hai.
jahan zindgi hai noto ki aur maut ek inam hai

esliye aaya hun un galiyon me vapis,
fir se un lamhon ko jeene ko ,
larne ko jhagarne ko fir se mohabbat karne ko

Comments

Popular posts from this blog

Mom's

Mai kaun thi ye mai Jani nahi

Donating it with love