Posts

FIGHTERS FOR FREEDOM

Image
  SAINIK    Na janu mai kis Jati ka Na janu mai kis bhanti ka Mai janu mai bus es mati ka Jiska karz mujhe chukana hai Neend nahi aati hai mujhko kaise chain se so jana hai jagna hai raaton ko ab kyunki desh ko mujhe sulana hai dar jata hun agar aankh lagi to bheirye fir se na aa jayen fir se mere desh ko noch noch ke ke kha na jayen hui bhul ab na ho payegi esliye mujhe ankhri saans tak lar jana hai kyunki es maati ka muzko karz chukana hai........

PROPOSE

Image
MAI RAHUL SHRIVASTAVA EK CIVIL ENGINEERING STUDENT. MAI DELHI COLLEGE OF ENGINEERING SE CIVIL ENGINEERING ME B.TECH KAR RAHA HUN. YE MERE AKHRI SEMESTER KE AKHRI EXAM KA WAQT HAI, AUR MAI APNE UNIVERSITY KO DIL SE DHANYWAAD KARTA HUN KI AAJ USNE AKHRI XAM LE LIYA. MAI THK 3.5 SAAL PHELE APNI GIRL FRIEND PIHU(TANYA SHRIVASTAVA) SE COMPUTER LAB ME MILA THA. AAJ MAI USE PROPOSE KARNE WALA THA SO MAINE USE COFFEE BARISTA ME BULAYA. TYARI PURI KARLI THI EVERYTHING SEEMS TO BE PERFECT. ITS IS A SPECIAL DAY FOR ME SO,  AAJ MAI TIME SE PHELE PAUNCH GAYA THA. WAIT KARTE KARTE MAI APNE BEETE DINO KO SOCH RAHA THA KI KAISE SAMAY BADAL JATA.KAL ME EK 12 TH PASS STUDENT THA JISNE COLLEGE JANA SIKHA THA. AUR AAJ MAI APNI GIRL FRIEND KO PROPOSE KARNE WALA, OHhhhhhhhh WHAT A MEMORABLE DAYS!!!!                                      MAINE PIHU KO SABSE PHELE COMPUTER CLASS ME DEKHA THA. PHELE NAZAR...

Mahabhharat

Image
Krishna ye tera kaisa gyan hai, lut ti har pher draupdi ki garima hai, har ghar se behti rakt ki dhara, kyunki koi vrisha hai to koi balwaan hai. manav ke behte nahi aasun, kyunki wo ban chuka pashan hai, krishna ye tera kaisa gyan hai, jahan lut ta har ghar ka maan hai. Kho gayi manvta manav ke man se, jag uthi danvta har ke tan se, krishna ye tera kaisa gyan hai, jahan lut ta manav ka swabhiman hai. faile ashanti har ghar me, chira mahabharat har ke man me, krishna ye tera kaisa gyan hai, jahan lut geeta ka abhiman hai.

lut gayi beech bazar mein

Tere itne roop es sansar mein, Tu janni hai tu durga hai tu kali hai, fir kyun lut gayi tu beech bazaar mein, fir kyun lut gayi tu beech bazaar mein, mara,pita,dabaya,kuchla tujhe es samaj mein, dali pareon me pajeb, gale mein mangalsutra, dala tujhe jue mein, chora beech mazdaar mein, sansar ne tujhe apne swabhiman me, deni pari agniparikhsa kisi ke abhiman me Tujhe jalaya, kata esi sansar ne, jab bhi tune bandhan todi samaj, luti teri asmita,bangh ki teri maryada, fir bhi chup rahi tu es sansar mein, chup chap bahaye tune kitne neer es sansar mein, jab tu lut gayi beech bazar mein, jab tu lut gayi beech bazar mein.

Your Smile

Image
Smile of yours,bring zest in my life, It touches the soul of mine to the eve light, Yours lips is just as a curved petal of roses, The twist on it makes me drunken, Even i don’t drink red wine. Your smile gives me the source of livelihood, And it’s divine fragrance make my soul divine, Your smile give me the ray of hope even when the sun don’t shine, Your smile is the strength of me even in my downside, Your smile is boon of all my prayers, To rejuvenate me and fill the emptiness of my life, To define me and my whole life.

Aaya Fir Se Jeene ko

Aaya un galiyon me vapis, Fir se wo din zeene ko, larne ko jhagarne ko, fir se mohabbat karne ko, khojun un doro ko jo juri thi mere bhoron ko, zaare ki wo chaye ki chuski, garmi ki wo thele ki kulfi, dil aaj hai fir se wo din jeene ko. khojun fir se un galiyon ki maujon ko, khojun fir se jeet ke sankhnadon ko, khojun galiyon ke chandan ki chandaniyon ko, khojun fir se maa ki roti ko, aur baba ki daant ko, kyunki fir hai aaj arman aur kuch jeene ko jee chuke bahut un galiyon me, jahan khusiyon ka koi mole nahi, zasbato ka ko tol nahi. jahan aansun milti hai khlon me aur mohabbat ke daam hai. jahan zindgi hai noto ki aur maut ek inam hai esliye aaya hun un galiyon me vapis, fir se un lamhon ko jeene ko , larne ko jhagarne ko fir se mohabbat karne ko

College Days

Dedicated to all who are awayfrom home. Zindagi hai chhoti,                                                                               Har Pal meinkhush hu, Ghar se dur ho,                                                                                                                             Ek Room mein hikhush hu, Aaj Rajma chawal nahi hai,                                       ...