Posts

Tu Aashqui

aashqui,awargi, tishnagi hai tu meri, tu meri zindgi,hai bandgi, tu meri ruh ki awaz ban gayi, ab tu meri subah aur sham ki pukar ban gayi. tu mil gayi mujhe suni raho mein,tu meri ab humraaz ban gayi ab palun har manzil tujhe lekar apni banhon mein, tu meri junoon ki ab inteha ho gayi tujhe bhulkar mai jiyun ab meri fitrat nahi, haan tu aashqui,awargi,ab meri junoon ban gayi

TERA ISHQ HAI BAIRAAGI

Image
ektiki,ekraagi tera ishq hai bairaagi, maikhane jaake bhi teri dhun na utre,aisi dhun hai ab laagi saaki, na jaane jaagi hai kaisi talab si,ye aarzoo hai ab azab si, ab meri khamooshi bhi tere liye hai dua maangi, dil me tera jo ishq ka swad hai milaya, ab baki duniya hai beswaad hai laagi ektiki,ekraagi tera ishq hai bairaagi. tera rang jo apne rang jab milaya, dil bharta nahi, aankhe rajti nahi, kyunki tu aur mai ab ek si laagi, tera ishqhai itna pawaan ab hai mujhe bus iski hi dhun ramani ektiki,ekraagi tera ishq hai bairaagi,

My Fight

Image
 Yeah this is my fight for my survival,  Yeah this is my fight for what I survive,  This is my fight to make soul back,  This is my fight for be to what I am. I really don't care, what anyone think of it , I really don't need any opinion of it,  Yeah I have many things to do with my life,  For what I fight , for what I survived, I don't try bcoz my fight is not a merry go round,  My fight is with me to I,  For what I believe, for what I fight,   This is my fight to be me to I.

FIGHTERS FOR FREEDOM

Image
  SAINIK    Na janu mai kis Jati ka Na janu mai kis bhanti ka Mai janu mai bus es mati ka Jiska karz mujhe chukana hai Neend nahi aati hai mujhko kaise chain se so jana hai jagna hai raaton ko ab kyunki desh ko mujhe sulana hai dar jata hun agar aankh lagi to bheirye fir se na aa jayen fir se mere desh ko noch noch ke ke kha na jayen hui bhul ab na ho payegi esliye mujhe ankhri saans tak lar jana hai kyunki es maati ka muzko karz chukana hai........

PROPOSE

Image
MAI RAHUL SHRIVASTAVA EK CIVIL ENGINEERING STUDENT. MAI DELHI COLLEGE OF ENGINEERING SE CIVIL ENGINEERING ME B.TECH KAR RAHA HUN. YE MERE AKHRI SEMESTER KE AKHRI EXAM KA WAQT HAI, AUR MAI APNE UNIVERSITY KO DIL SE DHANYWAAD KARTA HUN KI AAJ USNE AKHRI XAM LE LIYA. MAI THK 3.5 SAAL PHELE APNI GIRL FRIEND PIHU(TANYA SHRIVASTAVA) SE COMPUTER LAB ME MILA THA. AAJ MAI USE PROPOSE KARNE WALA THA SO MAINE USE COFFEE BARISTA ME BULAYA. TYARI PURI KARLI THI EVERYTHING SEEMS TO BE PERFECT. ITS IS A SPECIAL DAY FOR ME SO,  AAJ MAI TIME SE PHELE PAUNCH GAYA THA. WAIT KARTE KARTE MAI APNE BEETE DINO KO SOCH RAHA THA KI KAISE SAMAY BADAL JATA.KAL ME EK 12 TH PASS STUDENT THA JISNE COLLEGE JANA SIKHA THA. AUR AAJ MAI APNI GIRL FRIEND KO PROPOSE KARNE WALA, OHhhhhhhhh WHAT A MEMORABLE DAYS!!!!                                      MAINE PIHU KO SABSE PHELE COMPUTER CLASS ME DEKHA THA. PHELE NAZAR ME LAGA KI KUCH TO BAAT HAI. GAZAB KI ATTRACTION THA USME. MUJHE USSE LOVE AT FIRST SIGHT HO GAYA

Mahabhharat

Image
Krishna ye tera kaisa gyan hai, lut ti har pher draupdi ki garima hai, har ghar se behti rakt ki dhara, kyunki koi vrisha hai to koi balwaan hai. manav ke behte nahi aasun, kyunki wo ban chuka pashan hai, krishna ye tera kaisa gyan hai, jahan lut ta har ghar ka maan hai. Kho gayi manvta manav ke man se, jag uthi danvta har ke tan se, krishna ye tera kaisa gyan hai, jahan lut ta manav ka swabhiman hai. faile ashanti har ghar me, chira mahabharat har ke man me, krishna ye tera kaisa gyan hai, jahan lut geeta ka abhiman hai.

lut gayi beech bazar mein

Tere itne roop es sansar mein, Tu janni hai tu durga hai tu kali hai, fir kyun lut gayi tu beech bazaar mein, fir kyun lut gayi tu beech bazaar mein, mara,pita,dabaya,kuchla tujhe es samaj mein, dali pareon me pajeb, gale mein mangalsutra, dala tujhe jue mein, chora beech mazdaar mein, sansar ne tujhe apne swabhiman me, deni pari agniparikhsa kisi ke abhiman me Tujhe jalaya, kata esi sansar ne, jab bhi tune bandhan todi samaj, luti teri asmita,bangh ki teri maryada, fir bhi chup rahi tu es sansar mein, chup chap bahaye tune kitne neer es sansar mein, jab tu lut gayi beech bazar mein, jab tu lut gayi beech bazar mein.