pehla panna
kai baar khayal aaya ek kitab lihun me khudpe, smjh bus itna nahi aaya ki phela panna nam karun mai kispe, zindgi me dost ne bhi utne diye jitne dushman ne, kya kahun ek ne chain ke sapne diye to dusre ne pura karne ki hasratein, smjh bus itna nahi aaya ki phela panna naam karun mai kispe, dost agar na hote mai ruk jata kahin un rahon pe, dost agar na hote kho jata mai un rahon pe , ye dost hi hai jo mai khara hun en aali pae, na jaane kitne aur kab kandhe diye un rahon pe, sukr karun mai unka kaise jinki wajah se bana hun, dekh mere ae dost aaj mai khaan khara hun. sukriya karun mai unka jinhone rulaya us raat ko, sukriya karun mai unka jinhone milaya mujhse mujhko us raat ko, kaise karun mai tera sukriya bta dena ae mukhalif mujhe, jisne rait ke pathar ko bhi almaas bna diya tune। sawal abhi wahi hai pehla panna naam karun mai kispe, ae dost aur mukhalif ab to bta de ab ye jaam kiske naam karun aur kaise.