Posts

Showing posts from September, 2019

Santosh

Ae Santosh tujhe Mai dhundne nikla gali gali, Par mujhe dekh tu kabhi idhar chali udhar chali, Puchta Mai pathik se Kya tujhe wo kahi mili? Dekhta wo khrodh se Kya tujhe mili Jo mujhe mili. Sochta ki Mai chor dun dhundna tujhe ab gali gali, Tabhi Jake tu mujhe dikhi ek chor ki gali, Daur peher Mai ye dekh tu shayad mujhe mili, Daur us chor par tu mrigtrishna si lagi, Na Jane kyun mujhe humesha si chali. Ae Santosh tujhe dhundne khak chani gali gali, Ab to mil ja hone ko Meri umar chali, Chal nahi sakta  yuhi ab Mai gali gali, Dekh Teri intezar Meri Chita char kandho pe chali, Ae Santosh tujhe Mai nikla dhundne gali gali.

Mai kaun thi ye mai Jani nahi

Mai kaun hun ye Mai Jani nahi, Apne astitva ko pechani nahi, Apne pechan ko talashi nahi, Mai kaun hun ye Mai Jani nahi. Bachpan pita ke naam se gujra, Jawani pati aur buddapa bete se gujra, Betiyon ka mol Mai pechani nahi, Mai kaun thi ye Mai Jani nahi, Sochti hun Kya galti thi meri Kya mard hi samaj bnate  Esliye aurat ko ye nahi apnate hai Kya aurat ab koi mol nahi, Enka ab koi tol nahi Log sati ko yaad rakh jate hai  Chandi ko kyun bhul jate hai Bhul hui hai shayad apna mol Mai pechani nahi Mai kaun thi ye Mai Jani nahi